Tuesday, January 17, 2012

kya jin ya jinnat hote he? in hindi in urdu

In the name of Allah
jin our jinat ke bare mai logo ke beech kai bate mashhor hain. is blog ke zrey meri koshish hogi ke jinnat ke talluq se sahi bate jo islam ke nazrye se bilkul theek ho pesh ki jay.
is silsile main ap hazrat ki ray chahye.
Quran our hadis ki roshni main ham ye achchi trarh samjhle ki allah ne kai makhlooq bnai he yani anginat jaandaar cheeze jo dunya bhar mai pai jati hain.
jin ek arbi word he jis ka meaning  hota he woh cheez jo dikhai na deti ho. jinnat jin ka plural he yani ek ke lye jin our zyada ke liy jinnat word ka istemal kiya jata hai.
aj ke is dor men logo ko in bato par yqeen nahi hota lekin islam is taalluq se bilkul saf nazrya pesh karta he jo Andhwishwas se dor he. jise samjahne ki zroorat he.

  • kya bhoot hote hain?
bhot ke bare me islam saf inkar kar ta he. yani is baat se ki kisi insan ki maut ke bad us ki rooh bhatakti ho. ye baat srasr galt he. asal me is tarha ke mamle jin se jode hote hain jinhe ko log bhot samjh lete hain.

{ghost, spook, specter goblin, evil spirit devil dev atma ruh}