Friday, April 11, 2014

What is Atma ? In hindi



Atma kiya hoti hye? what is Atma?

Meaning of Atma in urdu “Ruh”. Atma ek Hindi language ka word ha is ka Urdu me meaning jaise k humne bataya Ruh hota ha Ruh or Atma insan ke jism me paye jani ali who jaan jo nazar nahi aati but hoti ha and jab wo ruh or Atma or jaan nikal jati ha to insan ki body death ho jaati ha I mean Insan mar jata ha yani RUH or ATMA admi aurat bachcho har kisi jandar me pai jane wali JAAN ko kehte ha.
Ab question ye ha ke atma hoti ha to is ka normal answer to ye ke her insan me hoti ha but agar Atma ka matlab ye lya jaye ke aatma koi bhoot hoti ha ya atma kisi ko dikhai deti ha ya kisi ko mar sakti ha to is ka answer no yani nahi Atma ka matlab ye nahi ko wo koi bhoot ha ya logo ko dra sakti ha.
Islamic concept ki agar bat ki jaye to Atma yani Ruh jab insan mar jata ha to ye Ruh and Atma Allah ke pas yani apne Mlik ke pas I mean apne creator ke pas chale jati ha aur Atma or Ruh tab tak apne malik ke pas rahe gi jab tak ki qyamat na aajaye Qyamat yani last day of world. Jab duniya and pura world destroy ho jaye ga tab tama insano ki atma ruh apne malik ke pas hazir ki jayegi and un ka hisab-kitab hoga bure logo ke sath unki burai ka anjam and bhel aur nek logo ke sath unki nake ke anjam ke tor se jannat and jahnnam I mean nark or suwarg diya jayega.
Isi tarha other religion me bhi atma ko lekar apne apne consept ha jo research ka topic ho sakte ha.