Monday, October 28, 2013

What is Jinn and jinnat ?: Bhoot Chudail in islam

What are jinn and Jinnat ? Bhoot Chudail in islam


What is ghost ? :- Isse pehle humne apni ek post Kiya Jinn hote he ? likhi he aur ab hum Bhut jin aur jinnat ke bare me ye post send kar rahe he.
Ghost :- bhoot chudail aur jinn jinnat ke bare me Islam ka view ye he ke Agr koi ye kahe ke kisi insan ki maut uske waqt se pehle aajati he yani kisi insan ke marne se to ye galat he. Insan ki maut tabhi hoti he jab Allah ki marzi hoti he. aur jab koi insan marjata he ya mardiya jata he tab uski ruh jise hindi me atma kehte he ye Ruh Allah ke pas ek khas muqam par chali jati he.
is tarha kisi bhi insan ki Jo mara gaya he ki Ruh, Atma Duniya me nahi bhatakti he. aur log agar aise kisi insan ko jo marne ke baad bhatak raha ho Bhoot kehte he to ye galat he.Na ye baat Quraan me he aur na Hadis me he.
witch or hag : -Chudail yani wo aurat atma jo marne ke baad bhatak rahi ho aisi kisi ruh ke bhatkne par yani duniya me kisi mar chuki aurat ki ruh atma ko log chudail kehte he to ye galat he.
Jinn aur Jinnat ke bare me islam quraan me batata he ke ek aisi makhluq yani jandar chiz he jo dikhai nahi dethi he wo jinn he jiska ki jama jinnat he.
jinn ya jinnat ka hona islam me quran aur hadis se sabit he. lakin is mamle me ye baat saf samajh lena chaiye ke ye koi Atma Ya ruh nahi he jo kisi mare hue insan ki ho.
Jinn aur Jinnat ke bare me quraan aur hadis ki study se baat bhi maloom hoti he ke in me bure yani bad jin aur achche yane nek jinn bhi hote he.
Quran ki ek surah bhi Surah jinn  ke naam se mojood he.

4 comments: