Hum jinn ke bare me sunte he ke wo dikhai nahi dete aur wo
bhut kuch kam jo insano ke bas ke nahi hote kar dete hain to phir ye sawal bhi dil
me ata he ke insan aur jinn me sabse behtar kon he aur dono me se jinnat zyad
takqtwar he ya insan zyada takatwar?
Is sawal ka jawab quran ke mutabiq to ye samne ata he ke
insan ko allah ne sabse afzal yani sabse behtar bnaya he. Aur is sawal ka jawab
insani dimagh se bhi socha jaye to yehi samne ata he ke insan sabse afzal he.
Jinn aur insan ki Ek Kahani :- ek khani mujhe yad aa rahi he jo maine ek
kitab me padhi wo kuch is tarha he ke ek bar ek insan aur jinn ka samna hua. Dono
me ye shart lagi ke dekhte hain ke jinnat ya insan dono me se sabse dimagh wala
aur takatwala kon he. Jinn ne kaha ke aaj se me tumhara har kehna, hukm sunuga
lakin mujhe ek kam khtam hone ke baad doosra kam foran btana hoga. Aur agar
mujhe koi kam nahi btaya to mai tumhe mardalunga. Tumhe mot ke ghat utardunga.
Ab insan ne jinn ko kam btya ke jaw makka se aab-e-zamzam
lekar aao jinn forn gya aur plak jhapkte hi wo makka se zamzam ka pani le aya. Aur
kaha forn agla kam btao. Insan ne usse kaha jaw mere liye achcha khna laow usne
forn hi achcha khana lakr de diya…………..is tarha insan jinn ko kam btate raha
aur jinn use chand second me karte raha……..akhir insan thak gya aur use neend
ane lagi lakin jinn ne use sone nahi diya aur usse kam poochta raha.
Ab insan khoob preshan hua usne apne rab se duaa ki aur
surah falaq padhi to forn hi uske dimagh me ek tarkib aayi usne jinn se kah ke
ek kutta laaow jinn forn kutta le aya. Phir kaam ka poochne laga kam btao. Insan
ne kaha ke kaam ye he ke iss kutte ki dum sidhi karo. Jinn ne dum sidhi karna
shuru ki lakin jinn jase hi kutte ki dum sidhi karta wo phir tedhi ho jati.
Jinn phir kutte ki
dum sidhi karne ki koshish karta lakin dum fir tedhi ho jati…………….jinn raat
bhar aisa karta raha aur insan araam se sota raha subah uthkar jinn se poocha
kiya hua kaam pura hua ke nahi. Jinn ke tewar dhile padh gaye aur usne kaha
nahi hua…..Akir me jinn ne apni haar man li.
Ye ek choti si, bachcho ki kahni he lakin iss se ye baat
samjhna asan he ke insan agr himmat aur dimagh se kam le aur apne rab se duaa
kare to phir us ke age jinnat ki takat bhi kamzor padh jati he.
Jinnat acche hotel has
ReplyDeleteAlum jinnat mere ghar hai
ReplyDelete