Ghosts and jinn talk ? Is Right or wrong ?
Ghosts and jinn talk ? Is Right or wrong ? :- Jinn bhoot ke nam par kai jhote aur nakli baba bhut kuch fraud karte he logo ko dhoka dete he. mere samne ek mamla yesa hi paesh haya ek sidhe sadhe gahar ke kuch logon ko kam dhande aur dukan rozgar wa gharelu preshani ka samna karna padh raha tah to unhone ek baba ko dikhaya us baba ne bola ke tumhare ghar me kisi ek shaks ko jinn lga he asrat he. lakin kisko laga he me kal bataunga. Usne unse kha ke me aisa aml janta hun jisse us shaks ka nam pata chal jata he jis par asrat hon jise bhoot jinn lag gaye hon. Aur farzi baba ne kha ke me aisa bhi ilm janta hun jisse chori karne wale ka nam pata cahl jaye ke kisne ghar me chori ki he ya koi kisi par jado wghaira karde to me apni padhat waizifa se uska naam maloom kar leta hun.
Next day:- Doosre din us baba apne shirt ki jeb me se ek parchi yani
kaghaz nikala our usmke beech me kalam (pain) se ek gol round khincha aur use
ek candle yani mombatti jala kar us ki low me thoda garam kiya jab kaghaz garm
ho gaya to usme ek naam dikhai dene laga wo naam ghar ki ek aurat ka tha.
Unhone mujhe bulaya aur mujh se is bare me baat ki to mujhe
hansi agayi aur mane unhe btaya ke ye to ek scientific tarika yani technique
he. Jab aap ek kaghaz par dood me koi lakdi ya kalam dal kar use nikal kar
kagaz par likhte hai to us page par doodh yani milk se likha huwa thodi der tak
dikhai deta he baad me mit jata he dikhna band ho jata he. phir jab aap us page
yani kaghaz ko kisi chiz se garm karte he to phir wo likhuwa dikhai dene lagta
he.
Istarha us nakli baba ne un ko phansana chaha yani unke sath
cheating karne ki koshish ki.
Check by yourself: - aap khud bhi check karke dekhe ke ek dooh yani milk kisi
bartan me le phir usme koi stick wghaira dobo kar kisi page par kuch likhe aur
use sukhane ke bad phir use thoda aag par garam kare aap ko wo likhai phir
dikhai degi.
{jinnat bhagane ka tarika farzi babao ka dhoka, jinn bhoot ruh atma kahni blog kiya he hakikat}
{jinnat bhagane ka tarika farzi babao ka dhoka, jinn bhoot ruh atma kahni blog kiya he hakikat}
No comments:
Post a Comment