kiya Bhoot ya Jinn insan ko lag jate he ?
Bhoot ke bare me ye mashoor he ke ye kisi mare hue insano ki
ruh (atma) hoti he. Jo bhatakti he aur badla le ti he. Jab ke aisa kuch nahi he
booht ke bare me ye manana ke ye murda logo ki ruh aur atma he galat he lakin
kuch cheez jo dikhai nahi deti wo jinn he inke bare me quran me bhi aya he asal
me jinn ko hi log bhoot samajhte he.
Bhoot ka lagna matlab ye ke “Jinn ka lagna” to jinn ke lag
jane ke bare me ye mana jata he ke jis tarha insano me shrarat karne wale insan
paye jate hian usitarha jinnat me bhi
shrarat karne wale jinn paye jate he.
Ye bure jinn hote he jo insano ko khas tor se aurton ko preshan karte he. Jab ye
jinn kisi ko preshan karte he to ise jinn lag jana kehte he. Kuch log ye bhi
mante he ke jinn jism me utar ate hein. Ye bhi ho sakta he, aur ye bhi ho sakta
he ke jinn bahar hi se insan ke dil aur dimagh ko kabo me karke use satate ho
prehsan karet ho.
Jo bhi ho, jo log jinn ko bhagane ka ilaj karte he wo ye
mante he ke jinn insano ke jism me yani shareer me dakhil ho jate he. Aur is
baat ko bhoot lagna ya jinn lagna kehte he.
No comments:
Post a Comment