Jinn ya jinnat ki ghiza yani khana kiya he ?
Insano ki tarha jino ko bhi bhok to lagti he aur wo khana
bhi khate hain. Lakin ow kiya kiya khate hain is ke bare me hmare samne kai
tarha ki bate hain.
Jino se mutalliq ek kitab me ek hadis maine padhi jiska
mfhoom he ke “ek bar paighambar hazrat muhammad s.a.w. ki khidmat me jino ka ek
giroh hazir hoa aur kaha ke aye allah ke paighamber s.w.s. hme khane ke liye
kuch ata frmaiye. Hazrat muhammad s.a.w.s. ne haddiya aur bachkhuchi ghiza unko
ata frma di.”
Hum ye bat aap ko saf kehde ke hum jo kuch is blom me jinnat
ke masale me likh rahe hain wo sirf humare mahdood ilm ke mutabiq he lakin ye
is baat ki poori koshish he ke quran wa hdis ke khilaf koi baat na ho balke
quran wa hdis ke mutabiq ho. Lakin phir bhi humari kisi baat ko akhir aur final
na samjhe tahqiq zaroor karle baghiar tahqiq kisi natije par na pahunche.
Meri ab tak is masale me kuch tajurbekar logo se jo baat hui
he usme ye baat bhi samne aai he ke kai jinn aise bhi hain jo insano ki ghiza
jase mitahi bhi khate hain.
BeshaQ
ReplyDelete